zindagi KHwahishon ka maqtal hai
zindagī ḳhvāhishoñ kā maqtal hai
dil kī duniyā meñ ek halchal hai
hosh kī had meñ rah nahīñ saktā
bartarī kā marīz pāgal hai
ḳhair-ḳhvāhī kī ghaas ke nīche
maslahat kī ġhalīz daldal hai
aur ik choT dījiye mujh ko!
merī taklīf nā-mukammal hai
ai 'asar'! ḳhairiyat kā darvāza
sāl-hā-sāl se muqaffal hai
zindagi KHwahishon ka maqtal hai
dil ki duniya mein ek halchal hai
hosh ki had mein rah nahin sakta
bartari ka mariz pagal hai
KHair-KHwahi ki ghas ke niche
maslahat ki ghaliz daldal hai
aur ek choT dijiye mujh ko!
meri taklif na-mukammal hai
ai 'asar'! KHairiyat ka darwaza
sal-ha-sal se muqaffal hai
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 438)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.