zindagi ki bahaar ho jao
zindagī kī bahār ho jaao
tum mirā e'tibār ho jaao
maiñ tumheñ sochtī rahūñ pal-pal
tum mirā intizār ho jaao
pyaar meñ bebasī nahīñ chaltī
sāhib-e-iḳhtiyār ho jaao
mujh ko apnā shikār kar lo tum
varna merā shikār ho jaao
jaan loge mirī mohabbat ko
dushmanoñ meñ shumār ho jaao
tiir ban jaao tum mohabbat meñ
phir kaleje ke paar ho jaao
kah rahī huuñ tumheñ sharāfat se
bas mire ek baar ho jaao
phuul kab tum se chāhtī huuñ maiñ
mere raste ke ḳhaar ho jaao
tum se mil kar qarār aa jaa.e
is tarah be-qarār ho jaao
mirī āñkhoñ ko dekhne vaalo
aaj dariyā ke paar ho jaao
ek din bas yūñhī 'sabīn' kabhī
us ke hoñToñ kā pyaar ho jaao
zindagi ki bahaar ho jao
tum mera e'tibar ho jao
main tumhein sochti rahun pal-pal
tum mera intizar ho jao
pyar mein bebasi nahin chalti
sahib-e-iKHtiyar ho jao
mujh ko apna shikar kar lo tum
warna mera shikar ho jao
jaan loge meri mohabbat ko
dushmanon mein shumar ho jao
tir ban jao tum mohabbat mein
phir kaleje ke par ho jao
kah rahi hun tumhein sharafat se
bas mere ek bar ho jao
phul kab tum se chahti hun main
mere raste ke KHar ho jao
tum se mil kar qarar aa jae
is tarah be-qarar ho jao
meri aankhon ko dekhne walo
aaj dariya ke par ho jao
ek din bas yunhi 'sabin' kabhi
us ke honTon ka pyar ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.