zindagi ki hansi uDati hui
zindagī kī hañsī uḌātī huī
ḳhvāhish-e-marg sar uThātī huī
kho ga.ī ret ke samundar meñ
ik nadī rāsta banātī huī
mujh ko aksar udaas kartī hai
ek tasvīr muskurātī huī
aa ga.ī ḳhāmushī ke narġhe meñ
zindagī mujh ko gungunātī huī
maiñ ise bhī udaas kar dūñgā
sub.h aa.ī hai khilkhilātī huī
har añdherā tamām hotā huā
jot meñ jot ab samātī huī
zindagi ki hansi uDati hui
KHwahish-e-marg sar uThati hui
kho gai ret ke samundar mein
ek nadi rasta banati hui
mujh ko aksar udas karti hai
ek taswir muskuraati hui
aa gai KHamushi ke narghe mein
zindagi mujh ko gungunati hui
main ise bhi udas kar dunga
subh aai hai khilkhilati hui
har andhera tamam hota hua
jot mein jot ab samati hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.