zindagi ki mile KHabar to chalun
zindagī kī mile ḳhabar to chalūñ
dekh luuñ us ko aañkh bhar to chalūñ
muskurā kar zarā milo phir tum
pūchh lo haal bhī agar to chalūñ
ishq o duniyā kī kashmakash meñ tum
rok lo jo mujhe agar to chalūñ
hijr jo umr bhar rahā us kā
terī āñkhoñ meñ ho asar to chalūñ
tum na samjhe zabāñ nigāhoñ kī
baat kah duuñ vo muḳhtasar to chalūñ
hai adhūrī ye justujū 'betāb'
aur ik umr ho nazar to chalūñ
zindagi ki mile KHabar to chalun
dekh lun us ko aankh bhar to chalun
muskura kar zara milo phir tum
puchh lo haal bhi agar to chalun
ishq o duniya ki kashmakash mein tum
rok lo jo mujhe agar to chalun
hijr jo umr bhar raha us ka
teri aankhon mein ho asar to chalun
tum na samjhe zaban nigahon ki
baat kah dun wo muKHtasar to chalun
hai adhuri ye justuju 'betab'
aur ek umr ho nazar to chalun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.