zindagi ki rawish badal anjum
zindagī kī ravish badal 'anjum'
vaqt ke saath saath chal 'anjum'
dekh jo jo haiñ āstīnoñ meñ
saare sāñpoñ kā sar kuchal 'anjum'
Thokareñ aur kitnī khā.egā
girne se peshtar sañbhal 'anjum'
zindagī ek ret kī dīvār
bach ke saa.e se bhī nikal 'anjum'
rone vāloñ ke saath ro lenā
jalne vāloñ ke saath jal 'anjum'
dil ko zindāñ kā ḳhauf hai kyūñkar
āshiyāñ chhoḌ ab nikal 'anjum'
kar le raushan charāġh-e-husn-e-amal
apne kirdār ko badal 'anjum'
ġhair ke bhuul jā tū naqsh-e-qadam
rāsta ḳhud banā tū chal 'anjum'
zindagi ki rawish badal 'anjum'
waqt ke sath sath chal 'anjum'
dekh jo jo hain aastinon mein
sare sanpon ka sar kuchal 'anjum'
Thokaren aur kitni khaega
girne se peshtar sanbhal 'anjum'
zindagi ek ret ki diwar
bach ke sae se bhi nikal 'anjum'
rone walon ke sath ro lena
jalne walon ke sath jal 'anjum'
dil ko zindan ka KHauf hai kyunkar
aashiyan chhoD ab nikal 'anjum'
kar le raushan charagh-e-husn-e-amal
apne kirdar ko badal 'anjum'
ghair ke bhul ja tu naqsh-e-qadam
rasta KHud bana tu chal 'anjum'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.