zindagi ko kha rahi hai zindagi
zindagī ko khā rahī hai zindagī
maut ko sharmā rahī hai zindagī
ek chhoTī sī masarrat ke liye
laakh choTeñ khā rahī hai zindagī
ho rahe haiñ us ke ham jitne qarīb
duur utnī jā rahī hai zindagī
dekh kar rote hue insān ko
muskurātī jā rahī hai zindagī
kal talak ye phuul thī aur āj-kal
ḳhaar hotī jā rahī hai zindagī
aa ga.ī 'sāqī' junūñ meñ āj-kal
'arsh se Takrā rahī hai zindagī
zindagi ko kha rahi hai zindagi
maut ko sharma rahi hai zindagi
ek chhoTi si masarrat ke liye
lakh choTen kha rahi hai zindagi
ho rahe hain us ke hum jitne qarib
dur utni ja rahi hai zindagi
dekh kar rote hue insan ko
muskuraati ja rahi hai zindagi
kal talak ye phul thi aur aaj-kal
KHar hoti ja rahi hai zindagi
aa gai 'saqi' junun mein aaj-kal
'arsh se Takra rahi hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.