zindagi ko maut ki zad par jo la sakta nahin
zindagī ko maut kī zad par jo lā saktā nahīñ
maut ke āġhosh meñ vo muskurā saktā nahīñ
us kī tohmat apne sar bār-e-amānat le liyā
bojh vo insāñ jo apnā bhī uThā saktā nahīñ
rabt hai har shai se phir bhī is jahāñ meñ dosto
aadmī ḳhud aadmī ke kaam aa saktā nahīñ
ye jahāñ hai āzmā.ish-gāh-e-arbāb-e-vafā
laakh chāhe bhī to insāñ muskurā saktā nahīñ
kyā isī kā naam hai saaqī tirī dariyā-dilī
mai to mai paanī bhī tū ham ko pilā saktā nahīñ
azm kā sūraj liye maiñ jagmagātā huuñ 'nashāt'
in añdheroñ ko kabhī ḳhātir meñ lā saktā nahīñ
zindagi ko maut ki zad par jo la sakta nahin
maut ke aaghosh mein wo muskura sakta nahin
us ki tohmat apne sar bar-e-amanat le liya
bojh wo insan jo apna bhi uTha sakta nahin
rabt hai har shai se phir bhi is jahan mein dosto
aadmi KHud aadmi ke kaam aa sakta nahin
ye jahan hai aazmaish-gah-e-arbab-e-wafa
lakh chahe bhi to insan muskura sakta nahin
kya isi ka nam hai saqi teri dariya-dili
mai to mai pani bhi tu hum ko pila sakta nahin
azm ka suraj liye main jagmagata hun 'nashat'
in andheron ko kabhi KHatir mein la sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.