zindagi ko na bana len wo saza mere baad
zindagī ko na banā leñ vo sazā mere baad
hausla denā unheñ mere ḳhudā mere baad
kaun ghūñghaT ko uThā.egā sitamgar kah ke
aur phir kis se kareñge vo hayā mere baad
phir mohabbat kī zamāne meñ na pursish hogī
ro.egī siskiyāñ le le ke vafā mere baad
haath uThte hue un ke na koī dekhegā
kis ke aane kī kareñge vo duā mere baad
kis qadar ġham hai unheñ mujh se bichhaḌ jaane kā
ho ga.e vo bhī zamāne se judā mere baad
vo jo kahtā thā ki 'nāsir' ke liye jiitā huuñ
us kā kyā jāniye kyā haal huā mere baad
zindagi ko na bana len wo saza mere baad
hausla dena unhen mere KHuda mere baad
kaun ghunghaT ko uThaega sitamgar kah ke
aur phir kis se karenge wo haya mere baad
phir mohabbat ki zamane mein na pursish hogi
roegi siskiyan le le ke wafa mere baad
hath uThte hue un ke na koi dekhega
kis ke aane ki karenge wo dua mere baad
kis qadar gham hai unhen mujh se bichhaD jaane ka
ho gae wo bhi zamane se juda mere baad
wo jo kahta tha ki 'nasir' ke liye jita hun
us ka kya jaaniye kya haal hua mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.