zindagi kuchh din aise do hum ko
zindagī kuchh din aise do ham ko
ham use chāheñ aur vo ham ko
nazar aatā nahīñ hameñ kuchh bhī
nazar aate rahā karo ham ko
ek hī haath se banāyā gayā
aap ko din ko raat ko ham ko
ham to vaise bhī tum pe marte haiñ
aur aise bhī to jiyo ham ko
apne sheroñ se muḳhtalif haiñ ham
jahāñ likkho vahāñ paḌho ham ko
zindagi kuchh din aise do hum ko
hum use chahen aur wo hum ko
nazar aata nahin hamein kuchh bhi
nazar aate raha karo hum ko
ek hi hath se banaya gaya
aap ko din ko raat ko hum ko
hum to waise bhi tum pe marte hain
aur aise bhi to jiyo hum ko
apne sheron se muKHtalif hain hum
jahan likkho wahan paDho hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.