zindagi kucha-e-aghyar mein zam honi hai
zindagī kūcha-e-aġhyār meñ zam honī hai
ham se taqdīr-e-junūñ ḳhaak raqam honī hai
zabt kā hukm na kar chhoḌ ke jaane vaale
koī patthar to nahīñ aañkh hai nam honī hai
sub.h se soch ke halkān huā jaatā huuñ
haa.e maulā ki abhī shām-e-alam honī hai
jaane kab baal sameTegī ye kaalī Dāyan
jaane kab sub.h shahīd-e-shab-e-ġham honī hai
ye mirī 'ain javānī kā mo'amma hai miyāñ
'ishq vo aag nahīñ hai jo bhasam honī hai
zindagi kucha-e-aghyar mein zam honi hai
hum se taqdir-e-junun KHak raqam honi hai
zabt ka hukm na kar chhoD ke jaane wale
koi patthar to nahin aankh hai nam honi hai
subh se soch ke halkan hua jata hun
hae maula ki abhi sham-e-alam honi hai
jaane kab baal sameTegi ye kali Dayan
jaane kab subh shahid-e-shab-e-gham honi hai
ye meri 'ain jawani ka mo'amma hai miyan
'ishq wo aag nahin hai jo bhasam honi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.