zindagi kyun udas hai ai dost
zindagī kyuuñ udaas hai ai dost
maut kyā ās-pās hai ai dost
vo bhī maslūb ho na jaa.e kahīñ
vo baḌā haq-shanās hai ai dost
thā jo 'ġhālib'-shikan zamāne meñ
vo 'yagānā' hī 'yās' hai ai dost
ye zamāna bhī kyā qayāmat hai
har taraf ik hirās hai ai dost
hai jo har dil meñ ik ḳhudī kā surūr
zindagī kī asaas hai ai dost
duur rah kar bhī mujh se duur nahīñ
vo sadā dil ke paas hai ai dost
ho ziyārat mujhe madīne kī
rab se ye iltimās hai ai dost
zindagi kyun udas hai ai dost
maut kya aas-pas hai ai dost
wo bhi maslub ho na jae kahin
wo baDa haq-shanas hai ai dost
tha jo 'ghaalib'-shikan zamane mein
wo 'yagana' hi 'yas' hai ai dost
ye zamana bhi kya qayamat hai
har taraf ek hiras hai ai dost
hai jo har dil mein ek KHudi ka surur
zindagi ki asas hai ai dost
dur rah kar bhi mujh se dur nahin
wo sada dil ke pas hai ai dost
ho ziyarat mujhe madine ki
rab se ye iltimas hai ai dost
- Hadees-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.