zindagi mein baDe KHasare hain
zindagī meñ baḌe ḳhasāre haiñ
chain se kis ne din guzāre haiñ
saath rah ke bhī nyāre nyāre haiñ
ham bhī kyā āsmāñ ke taare haiñ
bas hamīñ āfatoñ ke maare haiñ
varna yāroñ ke vāre-nyāre haiñ
zindagī tere bal nahīñ nikle
ham agar haare tujh se haare haiñ
farq-e-dair-o-haram se kyā lenā
ek dariyā ke do kināre haiñ
nekiyoñ hī kī pāsdārī kī
ham ne bichchhū bhī paar utāre haiñ
chāhe sach ho yaqīñ nahīñ aatā
tum hamāre na ham tumhāre haiñ
kyā kisī ko burā.ī deñ 'nāmī'
ham to apne kiye ke maare haiñ
zindagi mein baDe KHasare hain
chain se kis ne din guzare hain
sath rah ke bhi nyare nyare hain
hum bhi kya aasman ke tare hain
bas hamin aafaton ke mare hain
warna yaron ke ware-nyare hain
zindagi tere bal nahin nikle
hum agar haare tujh se haare hain
farq-e-dair-o-haram se kya lena
ek dariya ke do kinare hain
nekiyon hi ki pasdari ki
hum ne bichchhu bhi par utare hain
chahe sach ho yaqin nahin aata
tum hamare na hum tumhaare hain
kya kisi ko burai den 'nami'
hum to apne kiye ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.