zindagi mein jit ke kya kar liya hai
zindagī meñ jiit ke kyā kar liyā hai
aur ziyāda ḳhud ko tanhā kar liyā hai
ik tujhe apnā banāne kī talab meñ
jaane kitnoñ ko hī rusvā kar liyā hai
kar liyā hai ḳhud ko chhat maañ baap ne aur
jism kā bachchoñ pe saaya kar liyā hai
ishq kā anjām us ne bhī na pūchhā
ḳhatm ham ne bhī ye qissa kar liyā hai
maiñ laḌā thā vāste jis ke sabhī se
phir usī ne mujh se jhagḌā kar liyā hai
zindagi mein jit ke kya kar liya hai
aur ziyaada KHud ko tanha kar liya hai
ek tujhe apna banane ki talab mein
jaane kitnon ko hi ruswa kar liya hai
kar liya hai KHud ko chhat man bap ne aur
jism ka bachchon pe saya kar liya hai
ishq ka anjam us ne bhi na puchha
KHatm hum ne bhi ye qissa kar liya hai
main laDa tha waste jis ke sabhi se
phir usi ne mujh se jhagDa kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.