zindagi mein KHushi nahin aai
zindagī meñ ḳhushī nahīñ aa.ī
ye sabā is galī nahīñ aa.ī
aap ko nazm kar nahīñ paayā
haañ mujhe shā.irī nahīñ aa.ī
baat kahne kā Dhañg soch liyā
baat kahnī kabhī nahīñ aa.ī
bus ko roke hue the dost mire
aur vo bāvrī nahīñ aa.ī
log sadiyoñ ke dard kaaT ga.e
par shab-e-āḳhirī nahīñ aa.ī
hosh meñ ghūmte ho saḌkoñ par
tum ko āvārgī nahīñ aa.ī
ek marhūm kī tarah vāpas
umr guzrī huī nahīñ aa.ī
choT āvāz se lagī aur phir
hosh meñ ḳhāmushī nahīñ aa.ī
zindagi mein KHushi nahin aai
ye saba is gali nahin aai
aap ko nazm kar nahin paya
han mujhe shairi nahin aai
baat kahne ka Dhang soch liya
baat kahni kabhi nahin aai
bus ko roke hue the dost mere
aur wo bawri nahin aai
log sadiyon ke dard kaT gae
par shab-e-aKHiri nahin aai
hosh mein ghumte ho saDkon par
tum ko aawargi nahin aai
ek marhum ki tarah wapas
umr guzri hui nahin aai
choT aawaz se lagi aur phir
hosh mein KHamushi nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.