zindagi mein kisi ruKH ka kisi dukh ka hona
zindagī meñ kisī ruḳh kā kisī dukh kā honā
achchhā hotā hai safar meñ koī apnā honā
dard bhī mauj ke mānind safar karte haiñ
achchhā rahtā hai palak par koī taarā honā
Thokareñ mārne lagtā hai lahū nas nas meñ
kitnā dushvār hai terā mirā apnā honā
ek ham haiñ ki tire ho ke bhī āvāra haiñ
apnī taqdīr hai āvāza-e-sahrā honā
kārgar kaun rahā kār-e-vafā meñ 'ḳhālid'
kis kī qismat meñ hai farhād kā tesha honā
zindagi mein kisi ruKH ka kisi dukh ka hona
achchha hota hai safar mein koi apna hona
dard bhi mauj ke manind safar karte hain
achchha rahta hai palak par koi tara hona
Thokaren marne lagta hai lahu nas nas mein
kitna dushwar hai tera mera apna hona
ek hum hain ki tere ho ke bhi aawara hain
apni taqdir hai aawaza-e-sahra hona
kargar kaun raha kar-e-wafa mein 'KHalid'
kis ki qismat mein hai farhad ka tesha hona
- Book : funoon-volume-21 (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.