zindagi mein pyar ka sauda karo
zindagī meñ pyaar kā saudā karo
achchhā gāhak ho to bik jaayā karo
parbatoñ ke paar rahtā hai vo chāñd
jab añdherā ho to mil aayā karo
is tarah tum ko junūñ ho jā.egā
shab ga.e uTh uTh ke mat royā karo
ek din vo ḳhud hī bhāgā aa.egā
raat jab so jaa.e tum jaagā karo
din Dhale kuchh aur ghabrātā hai dil
shaam se pahle chale aayā karo
kab talak ye rat-jage bedāriyāñ
raat jab aa.e to so jaayā karo
raat ko aaseb dete haiñ sadā
bhaTkī rūhoñ se na kuchh bolā karo
tīrgī meñ nuur aa.egā nazar
Dūbte sūraj ko bhī sajda karo
ab amānat huuñ maiñ 'hasrat' aur kī
mere baare meñ na kuchh sochā karo
zindagi mein pyar ka sauda karo
achchha gahak ho to bik jaya karo
parbaton ke par rahta hai wo chand
jab andhera ho to mil aaya karo
is tarah tum ko junun ho jaega
shab gae uTh uTh ke mat roya karo
ek din wo KHud hi bhaga aaega
raat jab so jae tum jaga karo
din Dhale kuchh aur ghabraata hai dil
sham se pahle chale aaya karo
kab talak ye rat-jage bedariyan
raat jab aae to so jaya karo
raat ko aaseb dete hain sada
bhaTki ruhon se na kuchh bola karo
tirgi mein nur aaega nazar
Dubte suraj ko bhi sajda karo
ab amanat hun main 'hasrat' aur ki
mere bare mein na kuchh socha karo
- Book : Tanveer-e-Fan (Pg. 46)
- Author : Compiled by Dr. Keval Dheer, Mitr Nikodari,Author Ajeet Singh 'Hasrat'
- Publication : Dr. Bhajan Singh, 189 Model Gram, Ludhiana-02 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.