zindagi mein tujhko pana aaj tak bhula nahin
zindagī meñ tujh ko paanā aaj tak bhūlā nahīñ
phir tirā chupke se jaanā aaj tak bhūlā nahīñ
paḌ ke pairoñ par parastish kī ijāzat chāhnā
aur mirā vo baukhlānā aaj tak bhūlā nahīñ
har bashar hai ḳhud-ġharaz mehr-o-vafā kuchh bhī nahīñ
ham ko tanhā chhoḌ jaanā aaj tak bhūlā nahīñ
tum hamāre the hī kab is kā huā ehsās jab
dil kā sakte meñ vo aanā aaj tak bhūlā nahīñ
'āsifa' tū kitnī bholī hai sitam sahtī rahī
phir bhī terā muskurānā aaj tak bhūlā nahīñ
zindagi mein tujh ko pana aaj tak bhula nahin
phir tera chupke se jaana aaj tak bhula nahin
paD ke pairon par parastish ki ijazat chahna
aur mera wo baukhlana aaj tak bhula nahin
har bashar hai KHud-gharaz mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
hum ko tanha chhoD jaana aaj tak bhula nahin
tum hamare the hi kab is ka hua ehsas jab
dil ka sakte mein wo aana aaj tak bhula nahin
'asifa' tu kitni bholi hai sitam sahti rahi
phir bhi tera muskurana aaj tak bhula nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.