zindagi mein zabt paida kar diya
zindagi mein zabt paida kar diya
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
zindagī meñ zabt paidā kar diyā
us ke ġham ne dekhiye kyā kar diyā
aql-o-dil ne go chhupāyā raaz ko
āñso.oñ ne phir bhī rusvā kar diyā
us kī aahaT thī yā merā vahm thā
dil meñ jis ne hashr barpā kar diyā
jab chalī thī saath meñ ik aas thī
rāste ne mujh ko tanhā kar diyā
kis kī nazreñ phir masīhā ban ga.iiñ
kis ne mere dil ko zinda kar diyā
ek maddham sī kiran ne yak-ba-yak
ḳhvāb ko mere sunahrā kar diyā
aas kā marham diyā yuuñ aap ne
zaḳhm-e-dil kuchh aur gahrā kar diyā
rah ga.ī thī āzmā.ish kyā koī
jaañ ne kyoñ jaane meñ vaqfa kar diyā
duur 'nik.hat' gulsitāñ se ho ga.ī
is havā ne khel kaisā kar diyā
zindagi mein zabt paida kar diya
us ke gham ne dekhiye kya kar diya
aql-o-dil ne go chhupaya raaz ko
aansoon ne phir bhi ruswa kar diya
us ki aahaT thi ya mera wahm tha
dil mein jis ne hashr barpa kar diya
jab chali thi sath mein ek aas thi
raste ne mujh ko tanha kar diya
kis ki nazren phir masiha ban gain
kis ne mere dil ko zinda kar diya
ek maddham si kiran ne yak-ba-yak
KHwab ko mere sunahra kar diya
aas ka marham diya yun aap ne
zaKHm-e-dil kuchh aur gahra kar diya
rah gai thi aazmaish kya koi
jaan ne kyon jaane mein waqfa kar diya
dur 'nikhat' gulsitan se ho gai
is hawa ne khel kaisa kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.