zindagi meri mujhe degi sazaen kab tak
zindagī merī mujhe degī sazā.eñ kab tak
rā.egāñ jā.eñgī rātoñ kī duā.eñ kab tak
chāñdnī pyaar kī jis ghar meñ utar jā.egī
us ko Thukrā.eñgī nafrat kī ghaTā.eñ kab tak
dil ko jo zaḳhm diye tū ne vo nāsūr bane
tū hī kah de ki zamāne se chhupā.eñ kab tak
aaj ke daur kā insān pareshāñ hai bahut
us ko bhaTkā.eñgī gum-karda dishā.eñ kab tak
aaj insāf tijorī meñ muqayyad hai yahāñ
sab ke darvāzoñ pe ham deñge sadā.eñ kab tak
zindagi meri mujhe degi sazaen kab tak
raegan jaengi raaton ki duaen kab tak
chandni pyar ki jis ghar mein utar jaegi
us ko Thukraengi nafrat ki ghaTaen kab tak
dil ko jo zaKHm diye tu ne wo nasur bane
tu hi kah de ki zamane se chhupaen kab tak
aaj ke daur ka insan pareshan hai bahut
us ko bhaTkaengi gum-karda dishaen kab tak
aaj insaf tijori mein muqayyad hai yahan
sab ke darwazon pe hum denge sadaen kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.