Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi mujhko meri nazron mein sharminda na kar

Aqeel Shadab

zindagi mujhko meri nazron mein sharminda na kar

Aqeel Shadab

MORE BYAqeel Shadab

    zindagī mujh ko mirī nazroñ meñ sharminda na kar

    mar chukā hai jo bahut pahle use zinda na kar

    haal ye dukh tire maazī tujh ko den hai

    aaj tak jo kuchh kiyā ne vo ā.inda na kar

    to bhī is tūfān meñ ik ret dīvār hai

    apnī hastī bhuul kar har ek ninda na kar

    sau-gunā hote hue bhī jis ne baazī haar

    aisī buzdil bhiiḌ mujh ko numā.inda na kar

    jism kyā shai hai ki merī ruuh tak jal jā.egī

    aag meñ apnī jalā kar mujh ko tābinda na kar

    zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar

    mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar

    haal ka ye dukh tere mazi ki tujh ko den hai

    aaj tak jo kuchh kiya tu ne wo aainda na kar

    to bhi is tufan mein ek ret ki diwar hai

    apni hasti bhul kar har ek ki ninda na kar

    sau-guna hote hue bhi jis ne bazi haar di

    aisi buzdil bhiD ka mujh ko numainda na kar

    jism kya shai hai ki meri ruh tak jal jaegi

    aag mein apni jala kar mujh ko tabinda na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now