zindagi nam hai mohabbat ka
zindagī naam hai mohabbat kā
marg anjām hai mohabbat kā
kis tarah nikle baaġh se bulbul
bū-e-gul daam hai mohabbat kā
ḳhaas mujh par nahīñ nigāh-e-karam
qā.eda aam hai mohabbat kā
ruuh ke vāste tan-e-ḳhākī
ek ehrām hai mohabbat kā
merī zid se havas-parastoñ meñ
naam bad-nām hai mohabbat kā
zindagi nam hai mohabbat ka
marg anjam hai mohabbat ka
kis tarah nikle bagh se bulbul
bu-e-gul dam hai mohabbat ka
KHas mujh par nahin nigah-e-karam
qaeda aam hai mohabbat ka
ruh ke waste tan-e-KHaki
ek ehram hai mohabbat ka
meri zid se hawas-paraston mein
nam bad-nam hai mohabbat ka
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 263)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.