zindagi naghma-sara ho jae
zindagī naġhma-sarā ho jaa.e
dard kī koī davā ho jaa.e
har ghaḌī haath hoñ buland mire
yahī maqbūl duā ho jaa.e
aah mazlūm kī jab bhī nikle
arsh tak hashr bapā ho jaa.e
muntazir log to rahte haiñ sadā
sar pe kab zill-e-humā ho jaa.e
bahr-e-afkār meñ ġhaltāñ hai bashar
soch had se na sivā ho jaa.e
zindagi naghma-sara ho jae
dard ki koi dawa ho jae
har ghaDi hath hon buland mere
yahi maqbul dua ho jae
aah mazlum ki jab bhi nikle
arsh tak hashr bapa ho jae
muntazir log to rahte hain sada
sar pe kab zill-e-huma ho jae
bahr-e-afkar mein ghaltan hai bashar
soch had se na siwa ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.