zindagi naqs-e-zindagi to nahin
zindagī naqs-e-zindagī to nahīñ
bandagī meñ koī kamī to nahīñ
aap kī dostī se Dartā huuñ
aap se koī dushmanī to nahīñ
be-usūlī usuul ho jaa.e
aap par aisī be-ḳhudī to nahīñ
aaj zulmat ke chehre par hai nuur
un kā ġham bā.is-e-ḳhushī to nahīñ
maiñ gunāhoñ meñ ġharq huuñ lekin
us kī rahmat meñ kuchh kamī to nahīñ
mere siine meñ saikḌoñ bal haiñ
un kī zulfoñ meñ barhamī to nahīñ
aam hai zikr-e-ḳhās ai 'maikash'
ab koī baat raaz kī to nahīñ
zindagi naqs-e-zindagi to nahin
bandagi mein koi kami to nahin
aap ki dosti se Darta hun
aap se koi dushmani to nahin
be-usuli usul ho jae
aap par aisi be-KHudi to nahin
aaj zulmat ke chehre par hai nur
un ka gham bais-e-KHushi to nahin
main gunahon mein gharq hun lekin
us ki rahmat mein kuchh kami to nahin
mere sine mein saikDon bal hain
un ki zulfon mein barhami to nahin
aam hai zikr-e-KHas ai 'maikash'
ab koi baat raaz ki to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.