zindagi ne jhele hain sab azab duniya ke
zindagī ne jhele haiñ sab 'azāb duniyā ke
bas rahe haiñ āñkhoñ meñ phir bhī ḳhvāb duniyā ke
dil bujhe to tārīkī duur phir nahīñ hotī
laakh sar pe aa pahuñcheñ āftāb duniyā ke
dasht-e-be-niyāzī hai aur maiñ huuñ ab logo
is jagah nahīñ aate bāryāb duniyā ke
zindagī se guzrā huuñ kitnā be-niyāzāna
saath saath chalte the inqalāb duniyā ke
ham ne dast-e-duniyā par phir bhī kī nahīñ bai'at
jānte the ham tevar haiñ ḳharāb duniyā ke
zindagi ne jhele hain sab 'azab duniya ke
bas rahe hain aankhon mein phir bhi KHwab duniya ke
dil bujhe to tariki dur phir nahin hoti
lakh sar pe aa pahunchen aaftab duniya ke
dasht-e-be-niyazi hai aur main hun ab logo
is jagah nahin aate baryab duniya ke
zindagi se guzra hun kitna be-niyazana
sath sath chalte the inqalab duniya ke
hum ne dast-e-duniya par phir bhi ki nahin bai'at
jaante the hum tewar hain KHarab duniya ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.