zindagi nikhar aai jhel kar sitam tanha
zindagī nikhar aa.ī jhel kar sitam tanhā
tere dar se haath aayā bas yahī karam tanhā
dhaḌkaneñ sunātī haiñ lā-makāñ ke afsāne
kitnī dāstānoñ ko sun rahe haiñ ham tanhā
manzileñ bulātī haiñ justujū machaltī hai
tīrgī kā aalam hai aur har qadam tanhā
ye bhī chhīn le aa kar gardish-e-jahāñ mujh se
chand ārzūeñ haiñ aur merā dam tanhā
kaash koī qismat se jā ke itnā kah detā
hausle mire rahbar tere pech-o-ḳham tanhā
ruuh ke ujāloñ ne tīrgī ko lalkārā
zulmatoñ kī rāhoñ meñ ghir ga.e haiñ ham tanhā
zindagi nikhar aai jhel kar sitam tanha
tere dar se hath aaya bas yahi karam tanha
dhaDkanen sunati hain la-makan ke afsane
kitni dastanon ko sun rahe hain hum tanha
manzilen bulati hain justuju machalti hai
tirgi ka aalam hai aur har qadam tanha
ye bhi chhin le aa kar gardish-e-jahan mujh se
chand aarzuen hain aur mera dam tanha
kash koi qismat se ja ke itna kah deta
hausle mere rahbar tere pech-o-KHam tanha
ruh ke ujalon ne tirgi ko lalkara
zulmaton ki rahon mein ghir gae hain hum tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.