zindagi pur-waqar chahta hun
zindagī pur-vaqār chāhtā huuñ
tujh pe bas iḳhtiyār chāhtā huuñ
lab pe iz.hār aaj aa hī gayā
maiñ tujhe be-shumār chāhtā huuñ
aa bhī jā tū ki dil ke gulshan meñ
phuul ḳhushbū bahār chāhtā huuñ
rah meñ terī bichhā ke maiñ palkeñ
lazzat-e-intizār chāhtā huuñ
pusht par merī haiñ bahut ḳhanjar
ab to siine pe vaar chāhtā huuñ
jis nazar meñ sharāb sā hai nasha
us nazar kā ḳhumār chāhtā huuñ
ishq le kar maiñ aa gayā 'maz.har'
husn terā dayār chāhtā huuñ
zindagi pur-waqar chahta hun
tujh pe bas iKHtiyar chahta hun
lab pe izhaar aaj aa hi gaya
main tujhe be-shumar chahta hun
aa bhi ja tu ki dil ke gulshan mein
phul KHushbu bahaar chahta hun
rah mein teri bichha ke main palken
lazzat-e-intizar chahta hun
pusht par meri hain bahut KHanjar
ab to sine pe war chahta hun
jis nazar mein sharab sa hai nasha
us nazar ka KHumar chahta hun
ishq le kar main aa gaya 'mazhar'
husn tera dayar chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.