Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi se jo jang haara tha

Zahid Konchvi

zindagi se jo jang haara tha

Zahid Konchvi

MORE BYZahid Konchvi

    zindagī se jo jang haarā thā

    sab ġhurūr us pāra-pāra thā

    chāñd koī koī sitāra thā

    maañ ko bachcha har ek pyārā thā

    merī majbūrī thī safar karnā

    mere dil ko kahāñ gavārā thā

    ho ke āzād ham ye bhuul ga.e

    dosto farz kyā hamārā thā

    rāhgīroñ ko būḌhe bargad

    aate jaate baḌā sahārā thā

    zindagi se jo jang haara tha

    sab ghurur us ka para-para tha

    chand koi koi sitara tha

    man ko bachcha har ek pyara tha

    meri majburi thi safar karna

    mere dil ko kahan gawara tha

    ho ke aazad hum ye bhul gae

    dosto farz kya hamara tha

    rahgiron ko buDhe bargad ka

    aate jate baDa sahaara tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now