zindagi se mukarne walon ko
zindagī se mukarne vāloñ ko
yaad rakhte haiñ marne vāloñ ko
is darīche se ek būḌhā shaḳhs
dekhtā thā guzarne vāloñ ko
itnī fursat nahīñ simaT jaa.eñ
aur dekheñ bikharne vāloñ ko
kyā bulandī hai darmiyāñ apne
chaḌh rahī hai utarne vāloñ ko
koī hichkī bhī ab nahīñ aatī
kyā huā yaad karne vāloñ ko
kaun āvāz de rahā hai 'azīm'
us galī se guzarne vāloñ ko
zindagi se mukarne walon ko
yaad rakhte hain marne walon ko
is dariche se ek buDha shaKHs
dekhta tha guzarne walon ko
itni fursat nahin simaT jaen
aur dekhen bikharne walon ko
kya bulandi hai darmiyan apne
chaDh rahi hai utarne walon ko
koi hichki bhi ab nahin aati
kya hua yaad karne walon ko
kaun aawaz de raha hai 'azim'
us gali se guzarne walon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.