zindagi se sawal kya kije
zindagī se savāl kyā kiije
husn ko pur-malāl kyā kiije
'ishq meñ jaan tak to de dī hai
is se baḌh kar kamāl kyā kiije
us kī āvāz sun lī naġhma-gar
ab ye sāz-e-ġhazāl kyā kiije
dil masaltā hai phuul kah kar jo
us kī jānib ḳhayāl kyā kiije
āñsuoñ ko sajā ke palkoñ par
jab vo chaltā hai chaal kyā kiije
husn hai sar-tā-pā magar ai dost
husn ko hai zavāl kyā kiije
aise jaltā hai to jale 'irsa'
dil kī itnī sañbhāl kyā kiije
zindagi se sawal kya kije
husn ko pur-malal kya kije
'ishq mein jaan tak to de di hai
is se baDh kar kamal kya kije
us ki aawaz sun li naghma-gar
ab ye saz-e-ghazal kya kije
dil masalta hai phul kah kar jo
us ki jaanib KHayal kya kije
aansuon ko saja ke palkon par
jab wo chalta hai chaal kya kije
husn hai sar-ta-pa magar ai dost
husn ko hai zawal kya kije
aise jalta hai to jale 'irsa'
dil ki itni sanbhaal kya kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.