zindagi thoDi si mohlat to kabhi di hoti
zindagī thoḌī sī mohlat to kabhī dī hotī
zinda rahne kī ijāzat to kabhī dī hotī
chāñd ne haath mirā pyaar se thāmā hotā
chāñdnī chhūne kī mohlat to kabhī dī hotī
kitne kho.e hue lamhoñ kā ḳhayāl aatā hai
DhūñDne kī koī ruḳhsat to kabhī dī hotī
aap ke shikva-e-bejā kā gila kyā karnā
aap ne apnī mohabbat to kabhī dī hotī
koī iz.hār-e-vafā aap se kaise kartā
baat kah dene kī jur.at to kabhī dī hotī
apnī hī aañch meñ jalne ke liye is dil ko
sho.ala-e-ishq kī hiddat to kabhī dī hotī
kāġhzī phuul nigāhoñ ko bhale hoñ lekin
un galoñ ko koī nik.hat to kabhī dī hotī
jazb kā raqs khule aam nahīñ hai achchhā
karb-e-ehsās ko ḳhalvat to kabhī dī hotī
saḳht lahjoñ ke ravayyoñ ko badalne ke liye
'nūr' jazboñ ko nazākat to kabhī dī hotī
zindagi thoDi si mohlat to kabhi di hoti
zinda rahne ki ijazat to kabhi di hoti
chand ne hath mera pyar se thama hota
chandni chhune ki mohlat to kabhi di hoti
kitne khoe hue lamhon ka KHayal aata hai
DhunDne ki koi ruKHsat to kabhi di hoti
aap ke shikwa-e-beja ka gila kya karna
aap ne apni mohabbat to kabhi di hoti
koi izhaar-e-wafa aap se kaise karta
baat kah dene ki jurat to kabhi di hoti
apni hi aanch mein jalne ke liye is dil ko
shoala-e-ishq ki hiddat to kabhi di hoti
kaghzi phul nigahon ko bhale hon lekin
un galon ko koi nikhat to kabhi di hoti
jazb ka raqs khule aam nahin hai achchha
karb-e-ehsas ko KHalwat to kabhi di hoti
saKHt lahjon ke rawayyon ko badalne ke liye
'nur' jazbon ko nazakat to kabhi di hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.