zindagi tujhse pyar kya karte
zindagī tujh se pyaar kyā karte
ḳhvāb kā e'tibār kyā karte
tujh ko fursat nahīñ thī milne kī
ham tirā intizār kyā karte
jo bhī apne the saath chhoḌ ga.e
ġhair kā e'tibār kyā karte
kis ko chāhat thī chāra-sāzī kī
zaḳhm apne shumār kyā karte
raaz koī nahīñ thā siine meñ
tujh pe ham āshkār kyā karte
zindagi tujh se pyar kya karte
KHwab ka e'tibar kya karte
tujh ko fursat nahin thi milne ki
hum tera intizar kya karte
jo bhi apne the sath chhoD gae
ghair ka e'tibar kya karte
kis ko chahat thi chaara-sazi ki
zaKHm apne shumar kya karte
raaz koi nahin tha sine mein
tujh pe hum aashkar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.