zindagi tu mere yaqin ko dekh
zindagī tū mire yaqīn ko dekh
mere īmāñ ko mere diin ko dekh
mujh se mat pūchh aarzū kā malāl
apnī tū nig.h-e-avvalīn ko dekh
jis kā partau hai mere chehre par
merī āñkhoñ meñ us yaqīn ko dekh
mujh se kyoñ pūchhtā hai us kā pata
dil ke andar chhupe makīn ko dekh
zindagi tu mere yaqin ko dekh
mere iman ko mere din ko dekh
mujh se mat puchh aarzu ka malal
apni tu nigh-e-awwalin ko dekh
jis ka partau hai mere chehre par
meri aankhon mein us yaqin ko dekh
mujh se kyon puchhta hai us ka pata
dil ke andar chhupe makin ko dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.