zindagi tu ne suluk aise kiye sath mere
zindagī tū ne sulūk aise kiye saath mire
vo to achchhā hai ki bāñdhe hue haiñ haath mire
roz maiñ lauTtā huuñ ḳhud meñ nadāmat ke saath
roz mujh ko kahīñ pheñk aate haiñ jazbāt mire
maiñ virāsat meñ milā thā mire nā-qadroñ ko
ya.anī mumkin nahīñ mil paa.eñ nishānāt mire
mujh ko suniye nazar-andāz na kiije sāhab
mere hālāt se achchhe haiñ ḳhayālāt mire
zindagi tu ne suluk aise kiye sath mere
wo to achchha hai ki bandhe hue hain hath mere
roz main lauTta hun KHud mein nadamat ke sath
roz mujh ko kahin phenk aate hain jazbaat mere
main wirasat mein mila tha mere na-qadron ko
yani mumkin nahin mil paen nishanat mere
mujh ko suniye nazar-andaz na kije sahab
mere haalat se achchhe hain KHayalat mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.