zindagi yun bhi kabhi mujhko saza deti hai
zindagī yuuñ bhī kabhī mujh ko sazā detī hai
ek tasvīr kitāboñ se girā detī hai
aap achchhe haiñ bure haiñ ki faqat bār-e-hayāt
faisla ḳhalq-e-ḳhudā ḳhud hī sunā detī hai
kitne nādīda manāzir se uThātī hai naqāb
raat aatī hai to ḳhvāboñ ko jagā detī hai
ab bhī mehrāb-e-tamannā meñ kasak maazī kī
shaam hote hī koī sham.a jalā detī hai
ishq hai rog hī aisā ki nahīñ is kā ilaaj
ātish-e-dil ko davā aur baḌhā detī hai
sīna-e-sañg meñ poshīda sadā-e-farhād
ek ik zarb pe shīrīñ kā pata detī hai
jis kī āġhosh meñ ham roz milā karte the
ab vahī shaam har ek shaam sadā detī hai
maiñ kahāñ aur kahāñ sher-o-suḳhan hai 'zākir'
koī tāqat hai jo lafzoñ ko jilā detī hai
zindagi yun bhi kabhi mujh ko saza deti hai
ek taswir kitabon se gira deti hai
aap achchhe hain bure hain ki faqat bar-e-hayat
faisla KHalq-e-KHuda KHud hi suna deti hai
kitne nadida manazir se uThati hai naqab
raat aati hai to KHwabon ko jaga deti hai
ab bhi mehrab-e-tamanna mein kasak mazi ki
sham hote hi koi shama jala deti hai
ishq hai rog hi aisa ki nahin is ka ilaj
aatish-e-dil ko dawa aur baDha deti hai
sina-e-sang mein poshida sada-e-farhad
ek ek zarb pe shirin ka pata deti hai
jis ki aaghosh mein hum roz mila karte the
ab wahi sham har ek sham sada deti hai
main kahan aur kahan sher-o-suKHan hai 'zakir'
koi taqat hai jo lafzon ko jila deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.