zindagi zard zard chehron mein
zindagī zard zard chehroñ meñ
bhiik Daalī ga.ī hai kāsoñ meñ
ham se kyā pūchhte ho rang-e-jahāñ
ham to zindoñ meñ haiñ na murdoñ meñ
dil-e-ma.asūm TuuT TuuT gayā
ham saje rah ga.e dūkānoñ meñ
so.e hote haiñ apne ghar meñ ham
paa.e jaate haiñ un kī galiyoñ meñ
ab kitāboñ meñ bhī nahīñ miltā
pyaar hotā thā pahle logoñ meñ
yā-ilāhī bas us kī ek jhalak
jis kī ḳhushbū hai merī sāñsoñ meñ
chhān dekhī hai mashriqain kī ḳhaak
aan baiThā huuñ tere qadmoñ meñ
'nāzish' aisā qalandarāna mizāj
koī hogā to hogā sadiyoñ meñ
zindagi zard zard chehron mein
bhik Dali gai hai kason mein
hum se kya puchhte ho rang-e-jahan
hum to zindon mein hain na murdon mein
dil-e-masum TuT TuT gaya
hum saje rah gae dukanon mein
soe hote hain apne ghar mein hum
pae jate hain un ki galiyon mein
ab kitabon mein bhi nahin milta
pyar hota tha pahle logon mein
ya-ilahi bas us ki ek jhalak
jis ki KHushbu hai meri sanson mein
chhan dekhi hai mashriqain ki KHak
aan baiTha hun tere qadmon mein
'nazish' aisa qalandarana mizaj
koi hoga to hoga sadiyon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.