ziya-e-subh-e-tabassum ki aarzu na karo
ziyā-e-sub.h-e-tabassum kī aarzū na karo
ki taak meñ abhī tīra-shabī hai be-ḳhabaro
samā sakeñge na bikhre hue hasīñ jalve
hisār-e-chashm abhī aur kuchh kushāda karo
jo paḌh sako to ye ḳhāmosh-o-bad-numā chehre
ḳhud apne vaqt kī tārīḳh bhī haiñ dīda-varo
ḳhushī kī dhuup meñ jaltā hai zindagī kā badan
ġham-e-latīf ke saa.e kahāñ hameñ ham-safaro
ruḳh-e-hayāt pe raqsāñ hai jo ḳhushī kī tarah
vo soz-e-ishq kī adnā kiran hai be-basro
hamīñ se sub.h-e-banaras hamīñ se shām-e-avadh
hamīñ se dillī kī galiyāñ hasīñ thiiñ tāj-varo
gavāhī dete haiñ tārīḳh-e-ahd ke safhe
ye aur baat hai ab tum na e'tirāf karo
ḳhizāñ ko rang-e-bahārāñ jo de sako 'nāzim'
kabhī bahār-e-gurezāñ kī justujū na karo
ziya-e-subh-e-tabassum ki aarzu na karo
ki tak mein abhi tira-shabi hai be-KHabaro
sama sakenge na bikhre hue hasin jalwe
hisar-e-chashm abhi aur kuchh kushada karo
jo paDh sako to ye KHamosh-o-bad-numa chehre
KHud apne waqt ki tariKH bhi hain dida-waro
KHushi ki dhup mein jalta hai zindagi ka badan
gham-e-latif ke sae kahan hamein ham-safaro
ruKH-e-hayat pe raqsan hai jo KHushi ki tarah
wo soz-e-ishq ki adna kiran hai be-basro
hamin se subh-e-banaras hamin se sham-e-awadh
hamin se dilli ki galiyan hasin thin taj-waro
gawahi dete hain tariKH-e-ahd ke safhe
ye aur baat hai ab tum na e'tiraf karo
KHizan ko rang-e-bahaaran jo de sako 'nazim'
kabhi bahaar-e-gurezan ki justuju na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.