ziyan hi hai ziyan humse na puchho
ziyāñ hī hai ziyāñ ham se na pūchho
ye ġhairoñ kī zabāñ ham se na pūchho
sunā sakte nahīñ hāl-e-alam meñ
hamārī dāstāñ ham se na pūchho
ham apnī zaat tak mahdūd haiñ dost
ḳhayāl-e-āshiqāñ ham se na pūchho
rahe haiñ zindagī bhar sādgī se
ḳhurāfāt-e-jahāñ ham se na pūchho
karo mahsūs ḳhud hī baat sachchī
yaqīñ hai ab kahāñ ham se na pūchho
hai kitnā talḳh kaḌvā nafrat-āmez
ab andāz-e-bayāñ ham se na pūchho
sajāyā hai guloñ se baaġh saarā
kamāl-e-bāġhbāñ ham se na pūchho
jidhar dekho inād-o-buġhz kī dhaar
hai mullā kī azaañ ham se na pūchho
karo idrāk har ik guftugū kā
haiñ kyā gustāḳhiyāñ ham se na pūchho
burā māneñge kah dī gar haqīqat
sulūk-e-dostāñ ham se na pūchho
raqīboñ kī raqābat kyā batā.eñ
vo deñge gāliyāñ ham se na pūchho
rahe haiñ ham bhaTakte ḳhud hī 'sahgal'
so manzil kā nishāñ ham se na pūchho
ziyan hi hai ziyan hum se na puchho
ye ghairon ki zaban hum se na puchho
suna sakte nahin haal-e-alam mein
hamari dastan hum se na puchho
hum apni zat tak mahdud hain dost
KHayal-e-ashiqan hum se na puchho
rahe hain zindagi bhar sadgi se
KHurafat-e-jahan hum se na puchho
karo mahsus KHud hi baat sachchi
yaqin hai ab kahan hum se na puchho
hai kitna talKH kaDwa nafrat-amez
ab andaz-e-bayan hum se na puchho
sajaya hai gulon se bagh sara
kamal-e-baghban hum se na puchho
jidhar dekho inad-o-bughz ki dhaar
hai mulla ki azan hum se na puchho
karo idrak har ek guftugu ka
hain kya gustaKHiyan hum se na puchho
bura manenge kah di gar haqiqat
suluk-e-dostan hum se na puchho
raqibon ki raqabat kya bataen
wo denge galiyan hum se na puchho
rahe hain hum bhaTakte KHud hi 'sahgal'
so manzil ka nishan hum se na puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.