zor par aah thi aur nala-e-shab-gir bhi tha
zor par aah thi aur nala-e-shab-gir bhi tha
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
zor par aah thī aur nāla-e-shab-gīr bhī thā
māntā ham ko kabhī ye falak-e-pīr bhī thā
huur kā dhyān rahā vaqt-e-shahādat sab ko
mahv sūrat pe tirī maiñ dam-e-takbīr bhī thā
dar-ba-dar mujh ko kiyā dar se uThā kar apne
terā āshiq to maiñ thā shahr meñ tash.hīr bhī thā
bandagī qahr hai ilzām uThāte hī banī
hashr meñ pesh agarche ḳhat-e-taqdīr bhī thā
zor par aah thi aur nala-e-shab-gir bhi tha
manta hum ko kabhi ye falak-e-pir bhi tha
hur ka dhyan raha waqt-e-shahadat sab ko
mahw surat pe teri main dam-e-takbir bhi tha
dar-ba-dar mujh ko kiya dar se uTha kar apne
tera aashiq to main tha shahr mein tashhir bhi tha
bandagi qahr hai ilzam uThate hi bani
hashr mein pesh agarche KHat-e-taqdir bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.