zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai
zulf ke sañvarne meñ der kitnī lagtī hai
aadmī ke marne meñ der kitnī lagtī hai
aañkh se bhalā dil kā fāsla hī kitnā hai
sīḌhiyāñ utarne meñ der kitnī lagtī hai
pattharoñ pe chaltā huuñ kāñch kā badan le kar
kirchiyāñ bikharne meñ der kitnī lagtī hai
hai duā yahī merī badduā se bach jaao
āh-e-sard bharne meñ der kitnī lagtī hai
daf.atan sarak jaanā chehre se naqāb us kā
chāñd ke ubharne meñ der kitnī lagtī hai
phuul sī javānī hai shoḳhiyāñ nahīñ achchhī
pattiyāñ bikharne meñ der kitnī lagtī hai
vo 'nasīr' merā thā aaj raat se pahle
raat ke guzarne meñ der kitnī lagtī hai
zulf ke sanwarne mein der kitni lagti hai
aadmi ke marne mein der kitni lagti hai
aankh se bhala dil ka fasla hi kitna hai
siDhiyan utarne mein der kitni lagti hai
pattharon pe chalta hun kanch ka badan le kar
kirchiyan bikharne mein der kitni lagti hai
hai dua yahi meri baddua se bach jao
aah-e-sard bharne mein der kitni lagti hai
dafatan sarak jaana chehre se naqab us ka
chand ke ubharne mein der kitni lagti hai
phul si jawani hai shoKHiyan nahin achchhi
pattiyan bikharne mein der kitni lagti hai
wo 'nasir' mera tha aaj raat se pahle
raat ke guzarne mein der kitni lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.