zulf ko tha KHayal bose ka
zulf ko thā ḳhayāl bose kā
ḳhat ne likkhā savāl bose kā
dohre pattoñ ke zer-e-sāya huā
sab qalam-band haal bose kā
chashmak-e-ḳhāl-e-ruḳh ne saaf kahā
hai tabassum ma.aal bose kā
sabza-e-nau-damīda ne maarā
gird-e-ruḳhsār jaal bose kā
rah gayā tere mukhḌe par baaqī
ab makāñ ḳhaal ḳhaal bose kā
ho ġhazab apne baal noch liye
hai ye saarā vabāl bose kā
tere ġhusse se ab koī 'inshā'
chhoḌtā hai ḳhayāl bose kā
zulf ko tha KHayal bose ka
KHat ne likkha sawal bose ka
dohre patton ke zer-e-saya hua
sab qalam-band haal bose ka
chashmak-e-KHal-e-ruKH ne saf kaha
hai tabassum maal bose ka
sabza-e-nau-damida ne mara
gird-e-ruKHsar jal bose ka
rah gaya tere mukhDe par baqi
ab makan KHal KHal bose ka
ho ghazab apne baal noch liye
hai ye sara wabaal bose ka
tere ghusse se ab koi 'insha'
chhoDta hai KHayal bose ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.