zulm had se guzarta raha
zulm had se guzartā rahā
ashk fariyād kartā rahā
Dar nahīñ dushmanoñ kā mujhe
apne saa.e se Dartā rahā
us kā kirdār thā aa.ina
umr-bhar maiñ sañvartā rahā
pūchh kar ḳhairiyat vo mirī
aur bīmār kartā rahā
zindagī terī ta.amīr meñ
TuuT kar maiñ bikhartā rahā
ek pal kī ḳhushī ke liye
aadmī roz martā rahā
rañg-e-mahfil to badlā nahīñ
laakh koshish maiñ kartā rahā
kaun 'jāved' dil meñ tire
rafta rafta utartā rahā
zulm had se guzarta raha
ashk fariyaad karta raha
Dar nahin dushmanon ka mujhe
apne sae se Darta raha
us ka kirdar tha aaina
umr-bhar main sanwarta raha
puchh kar KHairiyat wo meri
aur bimar karta raha
zindagi teri tamir mein
TuT kar main bikharta raha
ek pal ki KHushi ke liye
aadmi roz marta raha
rang-e-mahfil to badla nahin
lakh koshish main karta raha
kaun 'jawed' dil mein tere
rafta rafta utarta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.