zulm ki kuchh miad nahin hai
zulm kī kuchh mī.ād nahīñ hai
daad nahīñ fariyād nahīñ hai
qatl hue haiñ ab tak kitne
kū-e-sitam ko yaad nahīñ hai
āḳhir ro.eñ kis ko kis ko
kaun hai jo barbād nahīñ hai
qaid chaman bhī ban jaatā hai
murġh-e-chaman āzād nahīñ hai
lutf hī kyā gar apne muqābil
satvat-e-barq-o-bād nahīñ hai
sab hoñ shādāñ sab hoñ ḳhandāñ
tanhā koī shaad nahīñ hai
dāvat-e-rañg-o-nik.hat hai ye
ḳhanda-e-gul barbād nahīñ hai
zulm ki kuchh miad nahin hai
dad nahin fariyaad nahin hai
qatl hue hain ab tak kitne
ku-e-sitam ko yaad nahin hai
aaKHir roen kis ko kis ko
kaun hai jo barbaad nahin hai
qaid chaman bhi ban jata hai
murgh-e-chaman aazad nahin hai
lutf hi kya gar apne muqabil
satwat-e-barq-o-baad nahin hai
sab hon shadan sab hon KHandan
tanha koi shad nahin hai
dawat-e-rang-o-nikhat hai ye
KHanda-e-gul barbaad nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 232)
- Author : Ali Ahmad Fatmi
- Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.