zulm mujh par shadid kar baiThe
zulm mujh par shadīd kar baiThe
phir vo kār-e-yazīd kar baiThe
be-vafā.ī bhī vo nibhā na sake
ham vafā kī umiid kar baiThe
jin pe martā thā tū vo sad-afsos
mire marne pe iid kar baiThe
kis qadar ḳhush-nasīb hogā vo jo
tirī ḳhvāboñ meñ diid kar baiThe
ham the ḳhushiyoñ ko bechne nikle
dard-o-ġham kī ḳharīd kar baiThe
kaash nafrat ke leaderoñ ko koī
do tamāñche rasīd kar baiThe
aisī daulat kā fā.eda kyā hai
jo ḳhudā se ba.iid kar baiThe
kaun jaane ki ishq meñ kitne
apnī miTTī palīd kar baiThe
miT ga.ī qadr mar ga.e ādāb
ham yuuñ ḳhud ko jadīd kar baiThe
kaash ye merī shā.irī 'ārif'
us ko merā murīd kar baiThe
zulm mujh par shadid kar baiThe
phir wo kar-e-yazid kar baiThe
be-wafai bhi wo nibha na sake
hum wafa ki umid kar baiThe
jin pe marta tha tu wo sad-afsos
mere marne pe id kar baiThe
kis qadar KHush-nasib hoga wo jo
teri KHwabon mein did kar baiThe
hum the KHushiyon ko bechne nikle
dard-o-gham ki KHarid kar baiThe
kash nafrat ke leaderon ko koi
do tamanche rasid kar baiThe
aisi daulat ka faeda kya hai
jo KHuda se baid kar baiThe
kaun jaane ki ishq mein kitne
apni miTTi palid kar baiThe
miT gai qadr mar gae aadab
hum yun KHud ko jadid kar baiThe
kash ye meri shairi 'arif'
us ko mera murid kar baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.