zulm yaad aae kabhi un ke sitam yaad aae
zulm yaad aae kabhi un ke sitam yaad aae
Abdul Majeed Manzar Murtajapuri
MORE BYAbdul Majeed Manzar Murtajapuri
zulm yaad aa.e kabhī un ke sitam yaad aa.e
ye bajā hai ki ba andāz-e-karam yaad aa.e
pher liiñ apnoñ ne ġhairoñ kī tarah jab āñkheñ
kis qadar us ghaḌī ġhairoñ ke karam yaad aa.e
na milā jab kisī sūrat rah-e-hastī kā surāġh
kārvānoñ ko mire naqsh-e-qadam yaad aa.e
aish ke din rahe ġhairoñ ke liye sab maḳhsūs
vaqt jab saḳht paḌā koī to ham yaad aa.e
dekh kar ġhairoñ kī be-laus vafā ko 'manzar'
bebasī meñ hameñ apnoñ ke sitam yaad aa.e
zulm yaad aae kabhi un ke sitam yaad aae
ye baja hai ki ba andaz-e-karam yaad aae
pher lin apnon ne ghairon ki tarah jab aankhen
kis qadar us ghaDi ghairon ke karam yaad aae
na mila jab kisi surat rah-e-hasti ka suragh
karwanon ko mere naqsh-e-qadam yaad aae
aish ke din rahe ghairon ke liye sab maKHsus
waqt jab saKHt paDa koi to hum yaad aae
dekh kar ghairon ki be-laus wafa ko 'manzar'
bebasi mein hamein apnon ke sitam yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.