zulmat ka safar hai chalo bolte raho
zulmāt kā safar hai chalo bolte raho
kho jāoge ḳhamosh na ho bolte raho
is shahr-e-ḳhāmushī meñ ho zinda subūt do
ye chup kī qabr chhoḌo uTho bolte raho
chup rahnā kufr aur ḳhamoshī harām hai
momin ho dīn-e-ishq ke to bolte raho
itnī tavīl raat hameñ kāTnī hai saath
be-ant dāstān kaho bolte raho
apnā hasīn ḳhvāb sunāte raho mujhe
ye ḳhvāb TūTne hī na do bolte raho
ye saarī kā.enāt ḳhamoshī kā raqs hai
āvāz meñ sabāt hai so bolte raho
jitnā sunoge utnā sunā.eñge tum ko log
duniyā kī ek bhī na suno bolte raho
phir se ye kā.enāt banāoge ai ḳhudā
to kun se ban na pā.egī go bolte raho
sī dī ga.ī hai aañkh zabāñ chaak zehn kund
aur hukm hai ki chup na raho bolte raho
zulmat ka safar hai chalo bolte raho
kho jaoge KHamosh na ho bolte raho
is shahr-e-KHamushi mein ho zinda subut do
ye chup ki qabr chhoDo uTho bolte raho
chup rahna kufr aur KHamoshi haram hai
momin ho din-e-ishq ke to bolte raho
itni tawil raat hamein kaTni hai sath
be-ant dastan kaho bolte raho
apna hasin KHwab sunate raho mujhe
ye KHwab TuTne hi na do bolte raho
ye sari kaenat KHamoshi ka raqs hai
aawaz mein sabaat hai so bolte raho
jitna sunoge utna sunaenge tum ko log
duniya ki ek bhi na suno bolte raho
phir se ye kaenat banaoge ai KHuda
to kun se ban na paegi go bolte raho
si di gai hai aankh zaban chaak zehn kund
aur hukm hai ki chup na raho bolte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.