zulmat ba-har-maqam KHilaf-e-talab mili
zulmat ba-har-maqām ḳhilāf-e-talab milī
din kā surāġh DhūñDne vāloñ ko shab milī
ai dost tere husn-e-ināyat kī ḳhair ho
ye āgahī hameñ tire ġham ke sabab milī
yād-e-ġhazal-ruḳhāñ bhī ḳhayāl-e-ma.āsh bhī
āsūdgī dayār-e-tamanna meñ kab milī
nikle the tīrgī ke musalsal fareb se
jab raushnī milī to hameñ jāñ-ba-lab milī
qissa tirī vafā kā sitam rozgār ke
jo shai hameñ milī hai vahī muntaḳhab milī
fursat-talab masā.il-e-asr-e-ravāñ bhī the
lekin tire ḳhayāl se fursat hī kab milī
sultān-'rashk' ḳhud se shanāsā.ī ke liye
dekheñge ḳhvāb fursat-e-tābīr jab milī
zulmat ba-har-maqam KHilaf-e-talab mili
din ka suragh DhunDne walon ko shab mili
ai dost tere husn-e-inayat ki KHair ho
ye aagahi hamein tere gham ke sabab mili
yaad-e-ghazal-ruKHan bhi KHayal-e-maash bhi
aasudgi dayar-e-tamanna mein kab mili
nikle the tirgi ke musalsal fareb se
jab raushni mili to hamein jaan-ba-lab mili
qissa teri wafa ka sitam rozgar ke
jo shai hamein mili hai wahi muntaKHab mili
fursat-talab masail-e-asr-e-rawan bhi the
lekin tere KHayal se fursat hi kab mili
sultan-'rashk' KHud se shanasai ke liye
dekhenge KHwab fursat-e-tabir jab mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.