aadmi khokhle hain pus ke baadal ki tarah
aadmī khokhle haiñ puus ke bādal kī tarah
shahr lagte haiñ mujhe aaj bhī jangal kī tarah
dard hai dil kā alankār koī bhaar nahīñ
jhiil meñ jal kī tarah aañkh meñ kājal kī tarah
janm letī nahīñ ākāsh meñ kavitā merī
phuuT paḌtī hai svayam dhartī se koñpal kī tarah
peT bhar jā.egā jab matlabī yāroñ kā kabhī
pheñk deñge ve tumheñ kuuḌe meñ pattal kī tarah
dil kā hai rog bhalā 'hans' batā.eñ kaise
laaj hoñToñ ko jakaḌ letī hai sāñkal kī tarah
aadmi khokhle hain pus ke baadal ki tarah
shahr lagte hain mujhe aaj bhi jangal ki tarah
dard hai dil ka alankar koi bhaar nahin
jhil mein jal ki tarah aankh mein kajal ki tarah
janm leti nahin aakash mein kawita meri
phuT paDti hai swayam dharti se konpal ki tarah
peT bhar jaega jab matlabi yaron ka kabhi
phenk denge we tumhein kuDe mein pattal ki tarah
dil ka hai rog bhala 'hans' bataen kaise
laj honTon ko jakaD leti hai sankal ki tarah
- Book : Gazal,Dushyant Ke Bad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.