ai dil-e-nakaam aaKHir kis liye
ai dil-e-nākām āḳhir kis liye
gardish-e-ayyām āḳhir kis liye
aap ke paiġhām āḳhir kis liye
har kisī ke naam āḳhir kis liye
pāk-dāmanī meñ shohrat aap kī
ham hue bad-nām āḳhir kis liye
mai-kade meñ sāqiyā terā vajūd
phir bhī ḳhālī jaam āḳhir kis liye
apnī apnī bazm kī rangīniyāñ
'rang' pe ilzām āḳhir kis liye
ai dil-e-nakaam aaKHir kis liye
gardish-e-ayyam aaKHir kis liye
aap ke paigham aaKHir kis liye
har kisi ke nam aaKHir kis liye
pak-damani mein shohrat aap ki
hum hue bad-nam aaKHir kis liye
mai-kade mein saqiya tera wajud
phir bhi KHali jam aaKHir kis liye
apni apni bazm ki ranginiyan
'rang' pe ilzam aaKHir kis liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.