bhuk ke ehsas ko sher-o-suKHan tak le chalo
bhuuk ke ehsās ko sher-o-suḳhan tak le chalo
yā adab ko muflisoñ kī anjuman tak le chalo
jo ġhazal ma.ashūq ke jalvoñ se vāqif ho ga.ī
us ko ab beva ke māthe kī shikan tak le chalo
mujh ko nazm-o-zabt kī ta.alīm denā ba.ad meñ
pahle apnī rahbarī ko ācharan tak le chalo
ḳhud ko zaḳhmī kar rahe haiñ ġhair ke dhoke meñ log
is shahar ko raushnī ke bāñkpan tak le chalo
bhuk ke ehsas ko sher-o-suKHan tak le chalo
ya adab ko muflison ki anjuman tak le chalo
jo ghazal mashuq ke jalwon se waqif ho gai
us ko ab bewa ke mathe ki shikan tak le chalo
mujh ko nazm-o-zabt ki talim dena baad mein
pahle apni rahbari ko aacharan tak le chalo
KHud ko zaKHmi kar rahe hain ghair ke dhoke mein log
is shahar ko raushni ke bankpan tak le chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.