hum teri chah mein ai yar wahan tak pahunche
ham tirī chaah meñ ai yaar vahāñ tak pahuñche
hosh ye bhī na jahāñ haiñ ki kahāñ tak pahuñche
itnā ma.alūm hai ḳhāmosh hai saarī mahfil
par na ma.alūm ye ḳhāmoshī kahāñ tak pahuñche
vo na gyānī na vo dhyānī na barhaman na vo shaiḳh
vo koī aur the jo tere makāñ tak pahuñche
ek is aas pe ab tak hai mirī band zabāñ
kal ko shāyad mirī āvāz vahāñ tak pahuñche
chāñd ko chhū ke chale aa.e haiñ vigyān ke pañkh
dekhnā ye hai ki insān kahāñ tak pahuñche
hum teri chah mein ai yar wahan tak pahunche
hosh ye bhi na jahan hain ki kahan tak pahunche
itna malum hai KHamosh hai sari mahfil
par na malum ye KHamoshi kahan tak pahunche
wo na gyani na wo dhyani na barhaman na wo shaiKH
wo koi aur the jo tere makan tak pahunche
ek is aas pe ab tak hai meri band zaban
kal ko shayad meri aawaz wahan tak pahunche
chand ko chhu ke chale aae hain wigyan ke pankh
dekhna ye hai ki insan kahan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.